🤲 ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
हिन्दी में पढ़ने के लिए 👉यहां क्लिक करें
🕊️ ai bani asad ke bachcho tum bade asr aana 🕊️
aik musht khak uthakar mayyat pe daal jana
aashoor ko hamara lut jayega bhara ghar
khayegi meri bachchi zalim ka taziyana
aik musht khak uthakar mayyat pe daal jana
ma baap agar na aayen ahle sitam ke dar se
tum khelne jab aana lashon ko dhanp jana
aik musht khak uthakar mayyat pe daal jana
kausar ke malikon ne paya na boond pani
pyason ki ye kahani duniya ko tum sunana
aik musht khak uthakar mayyat pe daal jana
kadiyal jawan ki mayyat ham se na uth sakegi
meri madad ko bachcho ran me zaroor aana
aik musht khak uthakar mayyat pe daal jana
rangeen mere khoon se hogi zamine karbal
ham chahte hai isko khake shifa banana
aik musht khak uthakar mayyat pe daal jana
jab waqte asr aaya sajde me sar kataya
taqdeer me nahi tha sajde se sar uthana
aik musht khak uthakar mayyat pe daal jana
begor bekafan tha chalees din wo aini
kahta tha jo ye kashif laashon ko dhanp jana
aik musht khak uthakar mayyat pe daal jana