🤲 ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
हिन्दी में पढ़ने के लिए 👉यहां क्लिक करें
🕊️ karti thi rokar buka ammu aa jayiye🕊️
Bali sakina ne ye kaha ammu aa jayiye
bin pani aa jayiye mai skun pa jaungi
aap na aaye agar ammu mai mar hi jaungi
ab nahi sar par rida ammu aa jayiye
bekaso majboor khaimon ke kareen tashna dahn
lashaye sarwer hai jalti ret par ab be kafan
mar gaya baba mera ammu aa jayiye
tashnalab bach,chy tadapty hai bahut pyas hai
kis,se pani ko kahe ki jab nahi Abbas hai
ji nahi sakti chacha ammu aa jayiye
muniso yawer nahi jo ab dilasa de hame
kis,se ham ammu kahyen aakar sahara de hame
qaid me hai bekhata ammu aa jayiye
akbaro qasim nahi kisko mai ab awaz dun
hilti hai saari zamin kisko mai ab awaz dun
lut gaya kunba mera ammu aa jayiye
asgare nadan zere khak bhi na rah saka
hurmula ka teer kha kar mera bhayya so gaya
ab jahan me kya bacha ammu aa jayiye
baliyan chini hai meri zalimon ne be khata
chin gayi sab ki ridayen sab ke sar hai be rida
kon de aa kar rida ammu aa jayiye
qaid zanjeeron mera aabide bimar hai
nange pa bimar ko chalna bhi ab dushwar hai
sham tak ka fasla ammu aa jayiye