๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ bhai ko royegi bahan zainab ๐️
aik majboor khastatan zainab
ham shabihe rasool zakhi hai
uske sine me aik barchi hai
chand ko lag gaya gahan zainab
jab se mara gaya mera abbas
tab se rahti hun mai udas udas
ab bandhegi tumhe rasan zainab
mera asgar bahut hi pyasa tha
pyas uski bujhane aaya tha
khoon me dooba gulbadan zainab
dekho darbar me bhi chup rahna
zulm sahna magar na kuch kahna
aik Sabir ki hai bahan zainab
mai sakina ko khoke aayi hun
uski turbat pe ro ke aayi hun
kitni majboor hai bahan zainab
bazuon par nishan baqi hai
haye sajjad bhi to zakhmi hai
kis tarah jayegi bahan zainab
ab madine me dil lagega kahan
aik pal chain se katega kahan
gam se mar jayegi bahan zainab
mai akeli watan na jaungi
sabko kis tarha mu dikhaungi
kya kahegi teri bahan zainab