๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ ali ki ladli ghabra rahi hai๐️
shabe aashoor dhalti ja rahi hai
zami chup hai falaq sahma hua hai
dile zainab pareshan ho raha hai
ghata zulmo sitam ki chaa rahi hai
khiza ki zad me zahara ka chaman hai
hussaini qafela tashna dahan hai
lahu chashme falak barsa rahi hai
jidhar udhar aata hai lashkar
ajab purhaul hai sahara ka manzar
yazeedi fauj simti aa rahi hai
kabhi auno muhammad ko bulaya
kabhi sine se Akbar ko lagaya
kabhi Abbas ko samjha rahi hai
shahe wala ko khaime me bulakar
bahan kahne lagi aansuv bahakar
hame surat ajal dikhla rahi hai
rasoole pak ki masnad bichakar
ali akabar ko pahlu me bithakar
sukoone qalb zainab pa rahi hai
kare kya shah ki hamshir aakhir
bachi hai kon si tadbeer aakhir
kali gulshan ki ab kumbla rahi hai
khamoshi dasht me chayi hui hai
sakina aaj ghabrai hui hai
sadaye al,atash bas aa rahi hai
kabhi soti hai sine par sakina
kabhi roti hai ghut ghut kar sakina
kabhi baba se kuch batla rahi hai
kabhi gahwaraye asgar jhulakar
kabhi godi me bhai ko uthakar
sakina khud ko yun bahla rahi hai
qalam khursheed ka likhta rahega
game shabbir ka dariya bahega
gauhar fikre raza barsa rahi hai