header 2

Saturday, June 28, 2025

Ai mominon Ali ki shahadat ke roz hain

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ Ai mominon Ali ki shahadat ke roz hain ๐Ÿ•Š️

Matam karo Imam ki rukhsat ke roz hain. 



Shabbir ro ke kehte the, Baba na jaiye,  

Tanha na jee sakenge, Khudara na jaiye.  

Kaise bayan ho, kitni musibat ke roz hain.  


Talwar sar pe maari hai zalim ne hay hay,  

Zainab khabar ye sunke kahi gham se mar na jaye.  

Bachon pe Fatima ke qayamat ke roz hain.  


Ghar mein Khuda ke khoon hai bahaya layeen ne,  

Cheena hai sar se baap ka saya layeen ne.  

Kufe ke har yateem ke gurbat ke roz hain.  


Kulsoom boli, bhai se Baba ko layiye,  

Kaise hain mere Baba ye mujhko bataiye.  

Sajde mein sar hai zakhmi, ibadat ke roz hain.  



Kyun kar raqam nishat se ho betiyon ke gham,  

Ramzan mein Ali pe hua is qadar sitam.  

Hashim padhe ye kaise qayamat ke roz hain.