๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ ai bade Saba jake ye ammu ko batana pyasi hai sakina ๐️
yaad aaye sakina to chacha laut ke aana pyasi hai sakina
is chote se sin me jo sitam maine uthaye
Allah kisi ko na yateem aisa banaye
khud apne lahu me koi bachchi na nahaye
mai tum ko bulati rahi tum bhi to na aaye
mai ban gayi baad asr layino ka nishana
pyasi hai sakina
ghar laut ke jab sham ko jate hai parinde
qismat me likhe hai meri zindan ke andhere
kab tak mai jiyungi yun hi ashko ke sahare
lagta hai mai mar jaungi ab door watan se
hoga na mayassar mujhe ghar laut ke jana
pyasi hai sakina
jis roz se asgar ko mila baba ka seena
us roz se ammu nahi so payi sakina
is haal me jaungi mai kis tarah madina
aa jaye mujhe maut hai kis kam ka jeena
jaagi bahut aake chacha mujh ko sulana
pyasi hai sakina
pani ki talab mujhko khilati rahi thokar
kahta tha layin dunga mai faujon ko pilakar
jab shimre layin kar chuka sehrab ye lashkar
dikhla ke mujhe fenk diya pani zami par
tab samjhi mai kya hota hai ummid dilana
pyasi hai sakina
ik jaam hua shame gariba me mayassar
wo kooza mai rakh aayi thi asgar ki lahad par
tha mujhse bhi chota mera bhaiya mera dilbar
sharmina mai ho jati chacha pyas bujhakar
ab apne hi hantho se meri pyas bujhana
pyasi hai sakina
aik rassi me ham sab ke gale bandh ke aada
karte huye tash,heer chale janibe koofa
aur uspe musibat ye thi qad mera tha chota
jab uthti thi fufiya to gala khinchta tha mera
gardan ka meri zakhm chacha dekhne aana
pyasi hai sakina
anwer ye sada parchame Abbas se aayi
mai bhool nahi sakta sakina meri bachi
kate gaye bazu mere majboor tha bibi
mashkiza alam me hai laga dekh le ab bhi
parcham ka mere kaam hai duniya ko batana
pyasi hai sakina