๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ aashoor ki shab laila ne kaha ai raat zara aahista guzar ๐️
didar to kar lu Akbar ka ai raat zara aahista guzar
har ma ka ye arman hota hai bete ko bana le wo dulha
Akbar ko bana lu mai dulha ai raat zara aahista guzar
mai byah rachau Akbar ka arman ye pura kab hoga
gut,ta hai gala armano ka ai raat zara aahista guzar
sugra ne kaha tha bhaiya ko hatho de pinhaungi joda
aa jaye madine se sugra ai raat zara aahista guzar
mai choom to lu us sine ko jis sine par barchi hogi
ashkon ka baha lu mai dariya ai raat zara aahista guzar
hai akhri lamha sanson ka jata hun mai duniya se baba
sunkar ye jigar fat jayega ai raat zara aahista guzar
shabbir ko dashte gurbat me koi na madad ko aayega
lana hai unhe tanha lasha ai raat zara aahista guzar
zanu pe litakar bete ko kal bap nikalega barchi
rah jayega barchi ka tukda ai raat zara aahista guzar
bat,tharah baras pala tha jise wo chand niha ho jayega
fir abr e alam cha jayega ai raat zara aahista guzar
aashoor ki shab ye nauha tha laila ke labon par ai alam
kal mera chaman lut jayega ai raat zara aahista guzar