हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
Awaz de rahi hai ye maqtal me sayada
Zainab mere hussain ka sadqa utar de
narghe me zalimo ke mera laal hai ghira
Zainab mere hussain ka sadqa utaar de
Ashur ki ye shab hai seyahi liye huye
Daman me ek payame tabahi liye huye
Dar lag raha hai mujhko Beyaban me
bakhuda
Zainab mere hussain ka sadqa utar de
Allah meri god ke pale ki khair ho
Jangal me Teen roze ke pyase ki khair ho
Ghabra raha hai der se pahelu me dil mera
Zainab mere hussain ka sadqa utaar de
pardes me batool ka beta ghareeb hai
Zainab mere hussain ki halat ajeeb hai
Mabood kaisa waqt ye bekas pe apada
Zainab mere hussain ka sadqa utaar de
Sadqa bala ki rad hai dukhe dil ka chain hai
Nau lakh zalimo me akela hussain hai
Farma rahi hain beti se rokar ye Fatima
Zainab mere hussain ka sadqa utaar de
Ye kaisi dushmani hai mere nure ain se
Takra rahi hai zulm ki had ab hussain se
Sar katne pe shimre sitamgaar hai tula
Zainab mere hussain ka sadqa utaar de
Parwaan jinko maine chadaya tha paal kar
Layi hun unko bhai ka sadqa nikaal kar
Beti ko huqm dijiye kariye na ilteja
Zainab mere hussain ka sadqa utaar de
Zainab nibha ke farz subokdosh ho gayi
Mahfooz maa hussain ki khamosh ho gayi
Khursheed fir na aayi Beyaba'n me ye sada
Zainab mere hussain ka sadqa utaar de