हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
Kyu aaye na palatkar ai mere Ammu Jaan
Dam AA gaya labon par ai mere Ammu jaan
Neze dikha dikha kar durre Laga Rahe the
Mujhko ai Ammu zalim dar dar fira Rahe the
Mar jaye na ye dukhtar ai mere Ammu jaan
Kano se khoon jati ankho se ashk jari
Koi nahi hai yawar gurbat hai ye hamari
Chehra hai khoon se tar ai mere Ammu jaan
Sabke bndhe the bazu Mera bandha gala tha
Pani Jo mangti thi Koda mujhe Laga tha
Qaidi hai Teri muztar ai mere Ammu jaan
Zakhmi hai pusht Meri tooti hai pasliya bhi
Dushwar hai ai Ammu ab Lena siskiya bhi
Hote hai zulm mujh par ai mere Ammu jaan
Arman hai ki jau Mai bhi Madina chhutkar
Lagta hai qaid me hi mar jaungi Mai ghutkar
Kya ja sakungi na Ghar ai mere Ammu jaan
Iza utha utha kar jab thak gayi sakina
Rokar NSHAT haye kahne lagi yateema
Le jao mujhko aakar ai mere Ammu jaan