header 2

Sunday, September 17, 2023

utho sakina chale karbala


हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें


Zindaan se jab riha huwey sadaat e Karbala 

Maa ne lipat ke qabr e Sakina pe di sada


Utho Sakina chalein Karbala 

Choti si turbat pe maa ne kaha 

utho Sakina chalein Karbala 

Zindaa se jaata hai ab qafela 

utho Sakina chalein Karbala


Choti si turbat pe maa ne kaha 

Utho Sakina chalein Karbala


Mujhe shahzadi tumhari qasam 

na rakhungi zindaan se baahar qadam Safar ki ab hoti hai taiyyariaan 

amaari mein bethey hain ehle haram Ghurbat ke meri tumhe waasta 

utho Sakina chalein Karbala


Choti si turbat pe maa ne kaha 

Utho Sakina chalein Karbala


Wo Pehle ke jaisi to ghurbat nahin 

ay bibi hamari wo haalat nahin 

Tumhey shaamiyon se ab ay meri jaan kafan maangney ki zarurat nahin 

Lo milgayi hai tumhari rida 

utho Sakina chalein Karbala


Choti si turbat pe maa ne kaha 

Utho Sakina chalein Karbala


Mujhe yaad Asghar ki hai bekasi 

lahad se wo mayyat nikali gayi

Akeley mein rehney na dungi tumhey bharosa nahi shaamiyon ka koi 

Rehtey hain chaaro taraf ashqiya 

utho Sakina chalein Karbala


Choti si turbat pe maa ne kaha 

Utho Sakina chalein Karbala


Yeh shaami kahan tum ko behlaaengey tumhari lahad par nahi aaengey 

Rahega andhera hi zindaan mein 

haram jab yahan se chale jaaengey 

Kon aaeyga phir jalaaney diya 

utho Sakina chalein Karbala


Choti si turbat pe maa ne kaha 

Utho Sakina chalein Karbala


Kahani padar ki sunaaungi main 

agar neend aayi sulaungi main 

Akeley na naaqey pe baithogi tum tumhey saath apney bithaungi main 

Ab to rasan mein no hoga gala 

utho Sakina chalein Karbala


Choti si turbat pe maa ne kaha 

Utho Sakina chalein Karbala


Mujhe maar daalega bas ye hi gam kamar mein hai beti tumhari jo kham Varam baazuon ka mujhe yaad hai tumhey to dikhayi bhi deta hai kam Akbar se bibi milegi shifa 

utho Sakina chalein Karbala


Choti si turbat pe maa ne kaha 

Utho Sakina chalein Karbala


bari der thahri hai darbaar mein 

yahan par na roko ziyada unhe Ke pehlu pe ik haath rakhe huwey 

sada de rahi hai Sakina tumhey 

Leney ko aayi hai khud Sayyada 

utho Sakina chalein Karbala


Choti si turbat pe maa ne kaha 

Utho Sakina chalein Karbala


Thi Zindaan mein Akbar ajab wo ghari rihaayi pe roti thi har ik phuppi 

Idhar khoon rota tha Abid udhar 

Sakina lahad mein tarapti rahi 

Jab bhi yeh maadar ne rokar kaha 

utho Sakina chalein Karbala


Choti si turbat pe maa ne kaha 

Utho Sakina chalein Karbala