header 2

Sunday, April 24, 2022

tera mehman hun sheeri


हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें

tera mehman hun sheeri tera mehman hun ×3


tu mujhe jaan na payi ye mai jaanta hun

tu na pahchane magar mai tujhe pahchanta hun

tu khatawar nahi sheeri mai ye janta hun

haye.....tune is haal me kab pahle mujhe dekha hai 


ba khuda jaan le mujhko pahchan le

tera mehman hun sheeri tera mehman hun ×2


mai salamat rahun mani thi ye tune mannat

ho gai khatm zamane se ye teri zahmat

ghar tere aaj mai mehman hua is soorat

haye.....sar mera noke sina jism mera karbobala


ba khuda jaan le mujhko pahchan le

tera mehman hun sheeri tera mehman hun ×2


yaad sheeri tujhe wo hoga zamana mera

sath saye ki tarah rahta tha nana mera

kaam jibreel ka tha naaz uthana mera

haye.....aaj begoro kafan jism hai maktal me pada 


ba khuda jaan le mujhko pahchan le

tera mehman hun sheeri tera mehman hun ×2


tukde tukde the pade ran me jigar ke pare

laash Akbar ki utha laye na himmat hare

hausla dekh ke haira the farishte saare

haye..... aik mehman pe kya kya na huye zulmo jafa


ba khuda jaan le mujhko pahchan le

tera mehman hun sheeri tera mehman hun ×2


ya ali kah ke di maktal me duhai maine

aasteen kohniyon tak apni chadhai maine

yun sina sinaye Akbar se nikali maine

haye.....samne nazron ke farzand ne dam tod diya 


ba khuda jaan le mujhko pahchan le

tera mehman hun sheeri tera mehman hun ×2


ghar tere aaya hun is haal me hairan na ho

meri mehman nawazi me pareshan na ho

bas dua kar mere jaisa koi mehman na ho

haye..... aise aalam me aayena kisi ko bhi qaza 


ba khuda jaan le mujhko pahchan le

tera mehman hun sheeri tera mehman hun ×2


ashqe khun aaj bhi aankho se rawan hai Meesam

kyu na ho karti hai khud fatema zahra matam

khak udate hain sare khuld rasoole akram

haye..... kaisa purdard hai khursheed ye likkha nauha 


ba khuda jaan le mujhko pahchan le

tera mehman hun sheeri tera mehman hun×3


⪻⪻ ⪼⪼