हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
farshe majlis pe fatema zahara lamha lamha shumar karti hain
ai azadaron ao majlis me fatema intezar karti hain
ai azadaron suno kah rahi hain sayyada
har aik chahne wale ko bakhswadungi
mere hussain ko rote raho duwa dungi
tum apne ghar me azakhane jab sajaoge
jaza rasool se iski zaroor paoge
khuda bhi razi rahega ali bhi aur mai bhi
gam apna bhool ke aashoor jab manaoge
tumhare dil ke har aik zakhm ki dawa dungi
ajeeb haal se aaungi mai sare mahshar
ki laungi mai wahan god me hussain ka sar
mai laugi mere Abbas ke kate huye
to saath lashaye asgar bhi aur hasan ka jigar
ba waqt asr guluye hussain kat,ta raha
pisar ke gird firi roohe fatema zahara
nidaye fatema aati thi aah wawaila
ki chakki pees ke maine hussain ko pala
karo na qatl ise mai tumhe dua dungi
meri sakinao zainab ki sab qaneezen sune
wasiyat aik meri hai ye dhyan me rakkhe
kabhi jo zikr ho zainab ki beridayi ka
to aik lamha bhi khud ko wo be rida na karen
mai tumko betiya zainab si ba haya dungi
tum is jahan me hamara sahara ban jao
hamare baise izzat to ban ke dikhlao
na aisa ho kahi apne kisi amal se kabhi
aza ki rooh ko nuqsan tum na panhuchao
ye mera wada hai mai tumko bakhshwadungi
jo umr bhar mere bachche ka nauhakhwan hoga
ba roze hashr wo utna hi shadma hoga
jo nauhe likhte rahe mazhar aabdi yunhi
qalam ye taba qayamat yunhi rawan hoga
har aik bait pe jannat me ghar diladungi