हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
jab sham ke zindan me hui sham haram ko
ik aan na rahat thi na aaram haram ko
har bar tapkta tha lahu ashqe rawa se
zindan larazta tha sakina ki fugan se
allah jane kahan ho ai baba
kitni raaten guzar gayi baba
allah jane kahan ho ai baba
chhote se sin me qaidiye zindan ho gayi
baba mai kyun na aap pe qurban ho gayi
allah jane kahan ho ai baba
dil me jo mere dard hai khalik pe hai ayan
kisko kahun mai baap mera baap hai kahan
tum bekafan mai besaro saman ho gayi
baba mai kyun na aap pe qurban ho gayi
allah jane kahan ho ai baba
kya kya na khalq kalme hakarat ke kah gayi
mai bekasi se dekhte muh sabka rah gayi
kurta fata hua meri pahchan ho gayi
baba mai kyun na aap pe qurban ho gayi
allah jane kahan ho ai baba
gar aah ki to shimr pukara khamosh ho
aur chup huyi to bepadari ne kaha ki ro
in afaton me ghir ke pareshan ho gayi
baba mai kyun na aap pe qurban ho gayi
allah jane kahan ho ai baba
be jurm kan zakhmi huye aur tamache khaye
jo chahe mujh falaq ki satayi ko fir sataye
shahzadiye hussain ki ye shan ho gayi
baba mai kyun na aap pe qurban ho gayi
allah jane kahan ho ai baba
sadqe gayi batao kahan hain mere pidar
aaye pidar to jaye sakina bhi apne ghar
kyun aise zalimon ki mai mehman ho gayi
baba mai kyun na aap pe qurban ho gayi
allah jane kahan ho ai baba
poti hun uski jo ke hai konain ka ameer
jisne hazaron qaid se chhudwa liye aseer
ummat nabi ki dekh ke anjan ho gayi
baba mai kyun na aap pe qurban ho gayi
allah jane kahan ho ai baba
jab sar pe shahe dee ke sakina ne ki nazar
chillayi roke haye gazab mar gaye pidar
baba ke sar ko dekh ke hairan ho gayi
baba mai kyun na aap pe qurban ho gayi
allah jane kahan ho ai baba
muh rakh ke muh pe shah ko royi jo dil figar
sadma hua nikalne lagi tan se ja nisar
nanhi si jaan jaan se bejaan ho gayi
baba mai kyun na aap pe qurban ho gayi
allah jane kahan ho ai baba
bas ai "Anees"bazm me hai giriyao buka
sadiyon talak rulayega sabko ye marsiya
Bali sakina karb ka unwan ho gayi
baba mai kyun na aap pe qurban ho gayi
allah jane kahan ho ai baba