header 2

Saturday, August 7, 2021

zainab ko gazi yaad aaya


हिन्दी के लिए 👉यहां‌ क्लिक करें

haye bazare shaam jakar 

zainab ko gazi yaad aaya

zainab ko gazi yaad aaya-3


aankho se khoon jari sar pe rida nahi thi

zakhmi haram ke dil the koi dawa nahi thi

jab durre lage badan par 

zainab ko gazi yaad aaya


sadat pa barahna kante bhare thye raste

rote the jab ye qaidi bedard dil the hanste

jab dekhi sina pe chadar

zainab ko gazi yaad aaya



hamshir roi us par taqdeer royi us par

bimar jab bhi roya janjeer royi us par

jab galiyo me barse patthar

zainab ko gazi yaad aaya


jo malikaye haya thi raho me be rida thi

ye sonchkar hi zainab bas mahway marsiya thi

haye sheeri ghar me jakar 

zainab ko gazi yaad aaya


is se badi qayamat aur kya hogi logon

abid ne apne sar kyun na uthaya soncho

wo kahta tha bas ye rokar

zainab ko gazi yaad aaya


Abbas ki bahan par aik aisa waqt aaya

darbar me sitam ke shimre layeen pukara

hai kon shah ki khwahar

zainab ko gazi yaad aaya


nikli thi jab wo ghar se manzar wo yaad aaya

nazren jhukao logon Abbas ne kaha tha

ab shaam me khule sar 

zainab ko gazi yaad aaya


attharah bhaiyon ki hamsheer aur khule sar

ai logon taras khao zainab ko de do chadar 

fizza jo boli rokar

zainab ko gazi yaad aaya 


darbar me gayee thi ik roz fatema bhi

lekin rida thi sar par beto se thi tasalli

yaad aaya use ye manzar 

zainab ko gazi yaad aaya


guzri jo bibiyon par kya shaman sunaye

mazhar mera kaleja sadmo se fat na jaye

bas roko qalam ye kahkar

zainab ko gazi yaad aaya

⪻⪻                                                  ⪼⪼