chala mai wada nibhane salam ma ke mazar
salam nana ke roze salam ma ke mazar
mai tera deen bachaunga ai mere nana
mai apna khoon bahaunga ai mere nana
hussain jata marne salam ma ke mazar
salam nana ke roze salam ma ke mazar
meri shareeke safar banke sath chal amma
safar pe jata hu kapde mere badal amma
libase khuld saja de badan pe fir ik baar
salam nana ke roze salam ma ke mazar
dua karo koi sar berida na ho amma
namaze shauqe shahadat qaza na ho amma
na aaye mere chaman pe sitam ki gardo guba
salam nana ke roze salam ma ke mazar
diye jalane ko nana tumhare rauze par
zaroor aayegi sugra har aik shamo sahar
khuda kare rahe raushan sada tumhara mazar
salam nana ke roze salam ma ke mazar
tumhare jaisa hai nana ye mera laal Akbar
dua karo na lage isko aasma ki nazar
lute na door watan se hamare dil ka qarar
salam nana ke roze salam ma ke mazar
tamam phool se bachche hai aur garm hawa
hamare khoon ki pyasi hai fauje zulmo jafa
safar me koi shajar bhi nahi hai sayadar
salam nana ke roze salam ma ke mazar
haan aik phool to aisa hai jo khila bhi nahi
na paye pani to kar sakta wo gila bhi nahi
wo jiske dahan se aati hai doodh ki mahkar
salam nana ke roze salam ma ke mazar
meri sakina kahan aur rasan ke band kahan
zameene garm pe chalna use pasand kahan
qadam wo phool se nazuk wo raste Pur khar
salam nana ke roze salam ma ke mazar
yahi hai sarwaro rehan zindgi ka sharaf
kahi ziyarate karbobala kahi pe najaf
inhi fizaon me aati hai shahe dee ki pukar
salam nana ke roze salam ma ke mazar