rozadaron qayamat ke din hai
ham se bichda hai maula hamara
rozadaron qayamat ke din hai
ibne muljim ne haidar ko mara
rozadaron qayamat ke din hai
khake bewarisi hai saron par
kale parcham lage hai gharo par
ham se bichda hai maula hamara
rozadaron qayamat ke din hai
ibne muljim ne haidar ko mara
rozadaron qayamat ke din hai
shab ye unniswi kaisi aayi
khu me dooba mohammad ka bhayi
ro raha hai sahar ka sitara
rozadaron qayamat ke din hai
ibne muljim ne haidar ko mara
rozadaron qayamat ke din hai
ibne muljim sitam kaisa dhaya
Qabr me sayyada ko rulaya
kaise bachcho ka hoga guzara
rozadaron qayamat ke din hai
ibne muljim ne haidar ko mara
rozadaron qayamat ke din hai
teg sar pe ali ke lagi hai
aaj shamme imamat bujhi hai
dil yateemo ka hai para para
rozadaron qayamat ke din hai
ibne muljim ne haidar ko mara
rozadaron qayamat ke din hai
ma ke marne ka gam kam nahi tha
aik kohe alam aur toota
sog me ghar hai zahra ka sara
rozadaron qayamat ke din hai
ibne muljim ne haidar ko mara
rozadaron qayamat ke din hai
ghar me zahra ke aaho fugan hai
ead nazdeek gam ka sama hai
aisa ramzan na aaye dobara
rozadaron qayamat ke din hai
ibne muljim ne haidar ko mara
rozadaron qayamat ke din hai
umme kulsoom zainab se boli
aaj baba ne aankhe na kholi
maine shana hilakar pukara
rozadaron qayamat ke din hai
ibne muljim ne haidar ko mara
rozadaron qayamat ke din hai