๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ basheer gunjegi awaze gam madine me ๐️
pukari zainabe muztar duhai hai na na
ke roke bhai ko laute hain ham madine me
ye bain hazrate kulsoom ne kiye rokar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
luta ke aaye hain jangal me ham rasool ka ghar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
khiza ki zad se wo bano ka fool bach na saka
sitam garo se shabihe rasool bach na saka
ham aa rahe hain teri sari raunaqe khokar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
ye bain hazrate kulsoom ne kiye rokar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
hajume karbobala me ujad chuki mayen
ki naunihalo se apne bichad chuki mayen
palat ke aya na ran se kisi ka noore nazar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
ye bain hazrate kulsoom ne kiye rokar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
na tum hi ro'o na hamko rulao ai sugra
ye gahwara ye bistar na lao ai sugra
ki khake teere sitam so gaya ali asgar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
ye bain hazrate kulsoom ne kiye rokar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
ajeeb hashr tha khaime tamam jalte the
tadap tadap ke gharon se jo ham nikalte the
to dekh dekh ke hanste the hamko baniye asgar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
ye bain hazrate kulsoom ne kiye rokar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
wo ranjo yaas wo dardo alam wo dardo ta'aab
zayeefa ho gayi ik din me gamzada zainab
safed ho gaye sab Baal jhuk gayi hai kamar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
ye bain hazrate kulsoom ne kiye rokar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
ridayen cheeni gayi sar se ghar jalaya gaya
aseer karke hame dar badar firaya gaya
kisi ne ye na kaha ham hain aale paigambar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
ye bain hazrate kulsoom ne kiye rokar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
tamam qaid ke gam apne dil pe sahti rahi
magar labon pe madina madina kahti rahi
sakina tod gayi dam andheron me ghutkar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
ye bain hazrate kulsoom ne kiye rokar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
ye baare zeest uthane se fayeda kya hai
hamare aane na aane se fayeda kya hai
buland ho chuka neze pe jab hussain ka sar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
ye bain hazrate kulsoom ne kiye rokar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
magar gamon ki kahani sunane aaye hain
kate saron ki sunani sunane aaye hain
jo saath laye hain ammama shah ka khoon me tar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
ye bain hazrate kulsoom ne kiye rokar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
watan ke log jo bichade huon se milte hain
ki ho gaya hai madina guzar bala nayyar
hamare jad ke madine hame qubool na kar
ye bain hazrate kulsoom ne kiye rokar
hamare jad ke madine hame qubool na kar