๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra ๐️
Aai Meri BIBI-2 Tere Dar Pe Istegasa Hai
Tera Mamnoon Meri Shehzadi (SA) Yeh Jahan Sara Hai
Tera Mamnoon Meri Shehzadi (SA) Yeh Jahan Sara Hai
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Tu Humein Hifz Aur Aman Dede
Apni Chadar Ka Saiban De De
Teri Kudrat Me Kya Nahi BIBI
Tu Jishe Chahe Do Jahan De De
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Aai Meri BIBI-2 Aansuon Ne Dua Maangi Hai
Teri Tasbeeh Padh Ke Dil Ne Tujhe Pukara Hai
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Karz Makrooz Ka Ada Karde
Muflison Ka Naseeb Wa Kar De
Jin Ki Godi Bhari Nahi BIBI
Unko Aulad Tu Ata Karde
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Aai Meri BIBI-2 Bus Tuhi Murad Deti,
Teri Chaukhat Dar E iIlahi Ka Isteaara Hai
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Farsh E Majlis Pe Aur Musalle Par
Har Jawan Keh Raha Hai Ro Ro Kar
Hum Rahe Na Rahe Magar BIBI
Ta Qayamat Rahe Gam E SARWAR
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Aai Meri Bibi -2 Tere Bacchon Ka Gam Manate Hai
Apni Aulad Se Kahi Bad Ke Gam Yeh Pyara Hai
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Un Shaheedon Ka Yeh Muqaddar hai
Sayeban In Ka Teri Chadar Hai
Unke Seeno Pe Aai Meri BIBI
Daag E Matam Nishan E HAIDER Hai
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Aai Meri BIBI-2 Khuld Mein Shaheed Jub Jaayen
Teri Aawaz Aaie Aane Do Yeh Hamara Hai
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Khoon Bankar Ragon Mein Hai Nauha, Meri Naslon Me Bhi Rahe Hai Nauha
Jaise Main Ne Pada Hai Bachpan Se
Mera Nade Ali Padhe Nauha
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Aai Meri BIBI-2 Iske Dil Me Wilayat E HAIDER hai
Mere Maan Baap Ki Taharat Ka Ek Ishara Hai
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Tere Dil Par Hai Jo Sitam Toote
Zindagi Mein Jo Tu Ne Gham Dekhe
Aasmano Zameen Pe Gar Hote
Misle Shab Woh Siyah Ho Jaate
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Aai Meri BIBI-2Dekh Kar Teri Musibat Ko
Sare Aalam Ka Dil Masaib Se Para Para Hai
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Tujhko Ummat Ne Yun Sataya Hai
Marge MOHSIN Pe Bhi Rulaya Hai
Tujhko Baba Ke Baad Ummat Ne
Haye Darbar Mein Bulaya Hai
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Aai Meri BIBI Kitne Sadme Uthaie Hai Tune
Jeete Jee Tujhko Meri SHEHZADI Gham Ne Mara Hai
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Aai Meri BIBI ..-2
Tere Dar Pe Sar Jhukate Hai
Har Husaini Ka Tere Tukon Pe Hi Guzara Hai
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Hai Yehi Mazhar Aabdi Ki Dua
Tere Bacchon Ka Gam Rahe Zinda
Sath Irfan Ke Rahe Jari
Tere Sadqe Me Karwane Aza
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra
Tere Bacchon Ka Gam Rahe Zinda
Sath Irfan Ke Rahe Jari
Tere Sadqe Me Karwane Aza
ya Zahra ya Zahra ya Zahra ya Zahra