๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ thahro zara thahro zara ๐️
didar kar lu jee bhar tera
thahro zara thahro zara
laal mere hamshakle payambar
tu hi to hai mera is waqt yawar
mujhko dikha de ik baar mud kar
na na ki surat ai mere dilbar
marne ki itni jaldi hai kya
thahro zara thahro zara
apne khuda se manga tha maine
tab jake tujhko paya tha maine
lori suna ke pala tha maine
ye to kabhi na soncha tha maine
mujhse tu hoga ran me juda
thahro zara thahro zara
baad tumhare ai mere dilbar
dhundhunga ran me tumko ye kahkar
soye kaha ho ai mere dibar
barchi layeen ki sine pe kha kar
aa gaya mai ab ghabrao na
thahro zara thahro zara
tumse bichad kar ai mere jani
ji na sakunga yousufe sani
dukh bhari sun lo meri kahani
mitne du kaise teri jawani
peeri ka meri tu hai asa
thahro zara thahro zara
baba ke tere khoon ke pyase
leke khade hain hatho me neze
ik bar dekho us simt bete
marenge mujhko tanha samajh ke
ran me layeen be jurmo khata
thahro zara thahro zara
karbobala ka purdard manzar
roye na kyun mahamood wo likhkar
phadh do mudassir bar sare mimbar
lut gai ran me aale payambar
shah ka na koi monis bacha
thahro zara thahro zara