๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ sakina kya kare ammu sakina kya kare ammu ๐️
sakina kya kare ammu sakina kya kare ammu
bayan kaise ho wo manzar gala jab shah ka kat,ta tha
wo manzar dekh kar ammu kaleja mera fat,ta tha
raham aata nahi tha kyu kisi ko baba ke upar
jale khaime chini chadar jalaya hai mera dawan
mera qad chota hone se rasan se khinchti thi gardan
bahut tarsa tha pani ko mera bhayya ali asgar
tumhare baad ai ammu sitam kuch is tarah dhaye
saron me aik sar kam pa ke zalim dhondhny aaye
juda sar tan se kar dala lahad bhai ko pakar
tamachy mary hai ammu layeeno ne mery muh par
sitam kuch is tarah dhaye saron se chini gayi chadar
barahna hai mery baba ka lasha khak ke upar
wo zalim ka bhara darbar tha aur ham thy nange sar
badi hasrat thi ke la dy koi us waqt ik chadar
na koi cheez mil payi to hatho ko rakha muh par
banegi sham ke zindan me meri lahad ammu
mery marny se chayegi udasi shaam me har su
mujhe maloom kuch na tha mai mar jaungi ghut ghut kar
rasan thi aik thy barah galy mai kaise chal pati
badi mushkil se chalti thi magar fir khud hi rukh jaati
bada gamnak manzar tha fufi jab chalti thi jhuk kar
hasan kis tarah se likh,khy bhala wo sham ka manzar
rihai ki tamanna me jo aksar aati thi dar par
parindo par nazar padte hi jo kahti thi yahi rokar