Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Tuesday, July 1, 2025

sajjad mai zainab hun mere sar pe rida koi nahi bazare jafa

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ sajjad mai zainab hun mere sar pe rida koi nahi bazare jafa ๐Ÿ•Š️

majma hai kufiyon ka mere chalne ki jaa koi nahi bazare jafa




sajjad mere sar se kayi bar chini chadar

balwaye me nabi zadi firwayi gayi dar dar

mil jaye rida mujhko aur meri dua koi nahi bazare jafa


sajjad chalun kaise lakhon hain tamashai

yaad aata hai rah rah ke Abbas mera bhai

fariyad karun kis se ab tere siwa koi nahi bazare jafa


sajjad mere dil ko ye dard satata hai

sar gazi ka neze se jab khak par aata hai

sar mera khula dekhe gam is se bada koi nahi bazare jafa


maloom hai aada ko gazi ki bahan hun mai

bedast hai wo gazi pabande rasan hun mai

yaad aayi wafa uski jab paas raha koi nahi bazare jafa


majboor hu bebas hun mai ro bhi nahi sakti

durron ki azeeyat se mai so bhi nahi sakti

is darja musibat me hamdard mera koi nahi bazare jafa


sajjad teri halat dekhi nahi jati hai

be parda mujhe dekhe ye baat rulati hai

sajjad teri taraha kanto pe chala koi nahi bazare jafa


maut aayegi zindan me meri Bali sakina ko

kya jake bataungi bimare madina ko

gam dil pe uthane ko ab baqi bacha koi nahi bazare jafa


jaata hai suye zindan ab kunba mohammad ka

rassi me bandhe qaidi kanto se bhara rasta

ummat ne sitam dhaye qismat se gila koi nahi bazare jafa




bazare sitam me tha zainab ka ajab aalam
mazhar mai likhun kaise zalim ne kaha jis dam
hai kon tera waris zainab ne kaha koi nahi bazare jafa