๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ roke sarwer ne ye kaha Abbas ๐️
tere jane se kamar toot gayi
mai sakina ko kaise bahlaun
mar gaye ammu kaise batlaun
de rahi hai tumhe sada Abbas
tere jane se kamar toot gayi
koi apna nahi bulaun kise
haale dil mai bhala sunaun kise
kha gayi hai tumhe qaza Abbas
tere jane se kamar toot gayi
jalte khaimon ko dekh ai gazi
teri zainab bulati hai gazi
chhin rahi hai meri rida Abbas
tere jane se kamar toot gayi
halq par jab chhuri chali bhai
yaad gazi teri bahut aayi
sar hua tan se fir juda Abbas
tere jane se kamar toot gayi
aankh me teer aur kate bazu
bachche kahte the al atash har su
pyas ab unki do bujha abbas
tere jane se kamar toot gayi