Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Wednesday, July 16, 2025

Jab mujhe apkay qatil ne hai mara baba

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ Jab mujhe apkay qatil ne hai mara baba ๐Ÿ•Š️

Har tamachay pe sakina ne pukara baba


Jab mujhe apkay qatil ne hai mara baba

Mujhe balon se pakad kar hain tamachay mare
Main ne sar shimr se manga jo tumhara baba

Jab mujhe apkay qatil ne hai mara baba

Wo jo dur aapne tohfe main mujhe bakshe thy
Unko bedardi se zalim nay utara baba
Jab mujhe apkay qatil ne hai mara baba

Apke seene pe aram se sone wali
So ke ab khak pe karti hai guzara baba

Jab mujhe apkay qatil ne hai mara baba

Nok e neza pe use dekhun to dekhun kaise
Mera Asgar tha muje jaan se pyara baba

Jab mujhe apkay qatil ne hai mara baba

Saath rahwaron ke daudaya gaya hai mujh ko
Choor zakhmoo se badan mera hai sara baba

Jab mujhe apkay qatil ne hai mara baba

Betiyon wale yateemo pe zulm krte nahi Maine kayi baar sitamgar se pukara baba

Jab mujhe apkay qatil ne hai mara baba

Meri gurbat pe chacha jaan ka sar rota hai
unki gurbat main karun kaise gawara baba

Jab mujhe apkay qatil ne hai mara baba



Ye sada qabr se masooma ki aayi mohsin 
Sath qaim ke chale aana dobara baba

Jab mujhe apkay qatil ne hai mara baba