๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ madina chor chala aaj mohamed ka nawasa ๐️
waade nibahye saare pardes jaane waale
dua karo amma dua karo nana
lahoo se apne sajaunga karbala ki zameen
mai garm rayt pe rakh doonga khoon bhari ye jabeen
kar doonga ghar ka ghar mai khud maut ke hawale
dua karo amma...
tamam ambiya royenge dekh kar manzar
uthake aag ke darya se apne haathon par
launga unke laashe jo godh ke hai paale
dua karo amma...
zamana kehta hai baba ko saaqiye kausar
to kyun na pyas bujha dun mai karbala jaa kar
sab khoon ke hai pyase amma wo sham waale
dua karo amma...
ye zulm dekhna ay amma karbala aake
mere watan se mere ghar se meri aankhon se
akbar ke saath ruqsat ho jayenge ujaale
dua karo amma...
na kaat le ye layeen aakar be-zaban ka sar
zameen ko saumpunga ye kehke laashaye asghar
ay khake karbala tu is chand ko chupale
dua karo amma...
bana ke turbat e asghar jo ran se aaunga
libaas e kahona jo zainab se mai manga-unga
goonjenege karbala may pardesiyo ke naale
dua karo amma...
jo chut ke sham ke zindan se aayenge qaidi
tumhay sunayenge ro ro kar daastan apni
nana wo zakhme dil ho ya paon ke ho chhaale
dua karo amma...
guluye khusk pe jab hoga shimr ka khanjar
kahegi rayt ke teele par zainab e muztar
koi sitamgaron se shabbir ko bachale
dua karo amma...
tum usko ajr may de de na haq shifa'at ka
jisne mere masaib ashraar may hai dhaale
dua karo amma...