Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Thursday, July 24, 2025

be-sar jab apne baap ko dekha nasheb me

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ sunsaan ban wo raat wo uth'ta hua dhuan 

nikli padar ko dhoondne nanhi si ek jaan 

kehti thi baba jaan bata do ke ho kahan ek laash bol uthi meri beti mai hoo yahan 

lekar isi sada ka sahare pahunch gayi roti hui nasheb me dukhiya pahunch gayi ๐Ÿ•Š️



be-sar jab apne baap ko dekha nasheb me 
royi bahot yateem sakina nasheb me

maqtal may laash baap ki jab sar kati mili 
thi umr char saal ki bachi tadap gayi beti jab apne baap ko pehchan na saki awaaz ya abaa ki sakina ne ro ke di laasha ghareeb baap ka bola nasheb me
royi bahot yateem sakina nasheb me

be-sar jab apne baap ko dekha-------

likha hai raawiyon ne wo manzar bada ajeeb 
jangal wo kali raat wo ghurbat wo gham naseeb 
awaaz sun ke baap ki pahunchi hai jab qareeb 
haalat pidar ki dekh ke royi bahot gareeb 
beti ke saath baap bhi roya nasheb me
royi bahot yateem sakina nasheb me

be-sar jab apne baap ko dekha-------


aage badhi hussain ki mazloom gamzada 
teero se jism baap ka dekha bhara hua ghabra ke teer jism se karne lagi juda kamsin thi koi teer na us se nikal saka paaya na jab hussain ka seena nasheb me
royi bahot yateem sakina nasheb me

be-sar jab apne baap ko dekha-------

khaali na paayi jism pe teeron se koi jaa karne lagi tawaaf wo baba ki laash ka mayoos ho ke payinti baithi wo ghamzada 
rukhsaar apne baap ke talwon pe rakh diya le kar padar ke paaon ka bosa nasheb me
royi bahot yateem sakina nasheb me

be-sar jab apne baap ko dekha-------

apne pidar ki laash pe le le ke siskiyan wo apne dard baap se karne lagi bayan rukh par bani thi saaf jo zaalim ki ungliyan 
bachi ne jab dikhaye tamachon ke wo nishan 
zakhmi badan hussain ka tadpa nasheb me
royi bahot yateem sakina nasheb me

be-sar jab apne baap ko dekha-------

phir ye kehne lagi ro ro ke yateema baba 
mere baalon ko sitamgar ne jo pakda baba 
maara zaalim ne mujhe aisa tamacha baba 
cha gaya meri nigahon may andhera baba

kehti thi mai yateem hoo mujh par na waar kar 
ki minnatein bahot ki zara intezaar kar mai de rahi thi shimr ko bunde utaar kar 
cheene hai be rehm ne magar mujhko maar kar 
ye dard jab pidar ko sunaya nasheb me
royi bahot yateem sakina nasheb me

be-sar jab apne baap ko dekha-------



waiz likhega kaun yateema ki bekasi laashe shah e zaman se wo jis dam juda hui 
lagta tha ab jiyegi na bachi hussain ki jaane lagi nasheb se jab sheh ki laadli baba ko apne chod ke tanha nasheb me royi bahot yateem sakina nasheb me

 be-sar jab apne baap ko dekha-------