๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ Aseeron ka zamane mein koi pursa nahi hota ๐️
Ke ghar jalte hain aur bujhne ka koi saamaan nahi hota,
Na hoti jaanleva is qadar Sugra ki tanhaayi,
Agar pardesiyon mein Asghar-e-nadaan nahi hota.
Koi to kaash badh kar Hurmala se ye to keh deta,
Kisi gardan mein qamad se bada paika nahi hota.
Ye maa kehti thi — mil jaata jo mere laal ko paani,
To mere aansuon ka aaj ye unwaan nahi hota.
Hain khane ke liye gham, aur peene ke liye aansoo,
Sivaye Karbala aisa kahin mehmaan nahi hota.
Jo rone ki ijaazat qaidiyon ko mil gayi hoti,
To shayad pusht-e-zinda par koi giriya nahi hota.
Sakina shaam dhalte hi ye kehti thi parindon se,
Kisi qaidi pe tang itna koi zindan nahi hota.
Mere Maalik, gawaahi kaun deta tere hone ki,
Jo tujh par laadla Zahra ka yun qurbaan nahi hota.
Wo Zahra hongi raaton ko jo aakar bain karti hain,
Azaakhano mein koi aur yun giriya nahi hota.
Baqeehe ki udaasi keh rahi hai sabz gumbad se,
Kisi beti ka marqad is tarah veeran nahi hota.
Jab aa jaata hai aankhon mein wo maqtal Aamir-o-Nayyar,
To phir in aansuon ka roknฤ aasaan nahi hota.
To phir in aansuon ka roknฤ aasaan nahi hota.