๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ ai azadaron utho matame shabbir karo๐️
aik dukhiyari ma de rahi hai sada
tum mere laal ko rote ho badi ulfat se
tumko Allah bachayega har aik aafat se
hain tumhare aansu zakhme sarwar ki dawa
mery bachcho pe jo rote hain tumhare bachchy
ba khuda hain wo mujhe jaan se pyare bachchy
gam manate hain wo bezuban asgar ka
chakkiyan maine chala kar ke jise pala tha
shimr be dard usi laal ke seeny pe chadha
tha mera noore nazar teen din ka pyasa
haye pyase pe sitamgar ne bada zulm kiya
meri godi me mery laal ka sar kaat diya
khoon me doob gaya mery dil ka tukda
kund khanjar jo mery laal ki gardn pe chala
amma muh fer lo shabbir mera kahta tha
mai tadapti hi rahi mar gaya laal mera
mery jis laal ka jannat se libaas aaya tha
ead ke roz nabi jiska bany khud naqa
Karbala me uska bekafan hai laasha
aaj karta hai jo shabbir ka matam "wayez"
aur uthata hai jo Abbas ka parcham "wayez"
roze mahshar iska rab tujhy dega sila
aur uthata hai jo Abbas ka parcham "wayez"
roze mahshar iska rab tujhy dega sila