๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ Ek shor hai al-amaan, ek shor hai al-amaan ๐️
Abbas aa rahe hain, Abbas aa rahe hain
Kandhe par mashk, mashk mein dil hai diler ka
Dariya ko cheen lena nahin kaam der ka
Ehsaan tishnagi mein milega na ghair ka
Bigda hua mizaaj hai Haider ke sher ka
Abbas aa rahe hain, Abbas aa rahe hain
Pyaasa hai sher ghat ka, raasta na rokhna
Aankhen jhukaao sher ki jaanib na dekhna
Kaise bachegi jaan, ye laazim hai sochna
Abbas hai jalaal mein, hargiz na tokna
Abbas aa rahe hain, Abbas aa rahe hain
Qabza hua Furaat par, al-qissa mukhtasar
Paani ko dekha, phat gaya Abbas ka jigar
Aankhen lahoo-lahoo hui bachchon ki pyaas par
Baalฤซ Sakeena bachchon se kehti rahi udhar
Abbas aa rahe hain, Abbas aa rahe hain
Aaya alam zaroor magar khoon mein bhara
Zainab ne sar ko peet ke Shabbir se kaha
Kyun kham kamar hai, aap ki Ghaazi kahan gaya
Bole Hussain ab koi pyaasa na de sada
Abbas aa rahe hain, Abbas aa rahe hain
Chehra hai wal-qamar ki ziyaon se noor-noor
Aankhon se jhaankta hua wan-najm ka suroor
Baalฤ qadi hai aisi ki sharmaaye Koh-e-Toor
Zulfen daraaz aisi ki wal-lail ka shu'oor
Abbas aa rahe hain, Abbas aa rahe hain
Tewar bata rahe hain qayamat uthaayega
Tegh-e-nazar se uski Khuda hi bachaayega
Aaya jo saamne koi, woh maara jaayega
Ek mashk mein Furaat ko bhar kar dikhaayega
Abbas aa rahe hain, Abbas aa rahe hain
Khaime ke dar pe pyaasi Sakeena thi muntazir
Jumbish alam ki dekh ke deti thi ye khabar
Tishna labon dua mein tumhaari hua asar
Woh woh dekho aa raha hai chacha ka alam nazar
Abbas aa rahe hain, Abbas aa rahe hain
Sab ko fana hai, chaand ho taare ho aafatab
Hoga nadeem Sarwar-o-Rehan jab hisaab
Keh denge hum Khuda se ki dene ko ab jawaab
Abbas aa rahe hain, Abbas aa rahe hain