header 2

Tuesday, June 24, 2025

zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz ๐Ÿ•Š️

man ke bi alamdaram be moino be yaram

az hayate be zaram khwahara khuda hafiz

zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz






ai meri bahan zainab ghar tere hawale hai

jo layaqe sajda hai sar uske hawale hai

bas chalne ko hai khanjar khwahara khuda hafiz

zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz


kahna mere nana se ghar bar lutaya hai

is tarah nwase ne wade ko nibhaya hai

sar hai mera neze par khwahara khuda hafiz

zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz


tum baad mere zainab mushkil se na ghabrana

abbase jari bankar har zulm se takrana

ai jano dile haider khwahara khuda hafiz

zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz


zainab meri beti ko har gam se bacha lena

jab roye sakina to godi me sula lena

kamsin hai meri dukhtar khwahara khuda hafiz

zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz


mare gaye sab bahna ham rah gaye ab tanha

is alame gurbat me mushkil hai mera jina

mare gaye sab dilbar khwahara khuda hafiz

zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz


khanjar meri gardan par jab shimr chalayega

rah rah ke mujhe tera chehra nazar aayega

tu hogi barahna sar, khwahara khuda hafiz

zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz


zinda ke andhere me jab roye meri bachcho

diljoi bahut karna us waqt bahan uski

mar jaye na wo ghutkar khwahara khuda hafiz

zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz


zindan se reha hokar jab suye watan jana

jo zulm huye ham par sugra ko wo batlana

ham qatl huye kunkar khwahara khuda hafiz

zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz


khana teri furqat me Akbar bhi tadapta tha

rota tha sare maktal jab khat tera aaya tha

sine pe sina khakar khwahara khuda hafiz

zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz


har god me dhundhegi sugra ali asgar ko

tum khud hi bata dena bhimar ko muztar ko

nawak laga gardan par khwahara khuda hafiz


pooche jo sakina ko bimar meri dukhtar

batlana ke zindan me wo mar gai ro ro kar

wo zakhm bhi hai dil par khwahara khuda hafiz

zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz


mare gaye sab bahna ham rah gaye ab tanha

is alame gurbat me mushkil hai mera jina

mare gaye sab dilbar khwahara khuda hafiz




"rehan"bahut royi zainab ye bayan sunkar

kahne lagi bhai ke sine pe wo sar rakh kar

dil duba hai ye sunkar khwahara khuda hafiz

zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz


zainabe hazineman, khwahara khuda hafiz