๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ sine pe soyi hai mere sakina zainab na isko jagana ๐️
ab na milega sukun isko banna zinab na isko jagana
khaye hai shimre layin ke tamache
dega nahi isko koi dilase
jana hai sar nange karbobala se
zainab na isko jagana
meri sakina ka dawan jala hai
kano se iske lahu bah raha hai
meri ladli kitni be aasra hai
mujhe de rahi thi wo kabse sadayen
sitamgar ne ki hai jo us par jafayen
tadap ut,tha mera sun ke aahen
rudade gam apni kahne do zainab
kuch pal mere sath rahne do zainab
gam ki satai hai sone do zainab
sadma judai ka sah na sakegi
dil pe jo guzregi kah na sakegi
bina mere zinda wo rah na sakegi
ammu ke sar ko jo dekhe yateema
shikwa koi lab pe ane na dena
sharminda tumse hai ammu ye kahna
zindan me ghabrayegi jab sakina
yatimi ka ehsas hone na dena
lene tumhe baba aayenge kahna
zainab ki ankhon se aansu rawan the
sakina ko lashe pidar se uthake
dil kanp jata tha bas ik sada se
har ik azadar deta hai pursa
rota hai dil bhi ayazo raza ka
mazlumiye shah ka sunkar ye nauha