๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ sare maktal sare neza jo sar shabbir ka hoga ๐️
khudai me khuda ki har taraf mahshar bapa hoga
kamar thame huye shabbir jate hai jo maktal me
ali Akbar ke sine me koi neza laga hoga
dile zainab pe jane kya qayamat toot,ti hogi
kabhi auno mohammad ko koi jab poochta hoga
dare khaime pe bano ko sada dete to hain sarwar
aba jab lashaye asgar se utthegi to kya hoga
kisi hanste huye bachche pe jab nazren ruki hongi
ali asgar ka chehra ma ki ankhon me fira hoga
na palte nahar se Abbas ab halaat kahte hain
haram ka qafela besaya hoga be rida hoga
tamache mare jayenge sakina ko pase sarwer
sitam ki reesma hogi sakina ka gala hoga
sitamgar jis bahan ke sar se chadar cheente honge
use Abbas sa bhai bahut yaad aa raha hoga
na lik,kha hoga sugra ne jo khat me haal e zar apna
hussain ibne ali ne wo bhi shayad padh liya hoga