Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Monday, June 30, 2025

loriya de lo bezaban kozaba ko rabab

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ loriya de lo bezaban kozaba ko rabab๐Ÿ•Š️

fir tumhe gulbadan mile na mile
bose ho tho ke le lo ji bhar ke
choomne ko dahan mile na mile



loriya de lo bezaba ko rabab

fir tumhe gulbadan mile na mile


subah se jo gaya wo aaya nahi

muh palat kar hame dikhaya nahi

ghar se aaye hain ham bayaba me

dekhiye ab watan mile na mile


loriya de lo bezaba ko rabab

fir tumhe gulbadan mile na mile


kar ke gahwara apne hantho ko

loriya dena khoob raton ko

tum jhula lo sageer ko apne

fir nijaate rasan mile na mile


loriya de lo bezaba ko rabab

fir tumhe gulbadan mile na mile


wo azane sahar ali Akbar

bibiya kah rahi hain ro rokar

poore arman dil ke ho jayen

baad me ye sukhan mile na mile


loriya de lo bezaba ko rabab

fir tumhe gulbadan mile na mile


umme farwa tum apna lakhte jigar

dekh lo aaj is ko ji bhar kar

kya ho maidan me ye khuda jane

laash jane kafan mile na mile


loriya de lo bezaba ko rabab

fir tumhe gulbadan mile na mile


aa bhi jao palat ke jane rabab

kyu nahi de rahe ho ma ko jawab

mera ujda hai Karbala me watan

ab bahare chaman mile na mile


loriya de lo bezaba ko rabab

fir tumhe gulbadan mile na mile


ahad karti hu jo nibhaungi

saaye me mai kabhi na jaungi

mera waris hai bekafan ran me

ghar ka mujhko sahan mile na mile


loriya de lo bezaba ko rabab

fir tumhe gulbadan mile na mile




laashe shabbir de rahi hai sada
hai nigehbab mere ghar ka khuda
bibiyo ki ridayen bach jayen
chahe mujhko kafan mile na mile


loriya de lo bezaba ko rabab
fir tumhe gulbadan mile na mile