Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Wednesday, June 25, 2025

lo zindane shaam se chutkar, zainab aa gayi bhai

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ lo zindane shaam se chutkar, zainab aa gayi bhai-2 ๐Ÿ•Š️

ab na yahan se ghar jayegi laut ke ye ma jayi




baad tere aisa loota ghar

sar pe na chodi aik ke chadar

khainch liya bimar ka bistar

deti rahi mai duhai-------------


tariki raste anjane

dusman har su neze tane

karbobala ke ran me na jane

kaisi sham thi aayi----------


hasarat to thi jaane madar

dete ijazat gar ye sitamgar

mayyat par kuch der thahar kar

ro leti ma jayi------------


sar khole be maknao chadar

aada le gaye ham ko dar dar

kya bolu aik aik qadam par

kis kis ki yaad aayi----------

-

kode jab bimar pe barse

rote the ham sab hanste the

hukm tera tha ham bebas the

jhel gaye ruswai-----------

chalte chalte sham jo pahunche

kuch mat poocho bhaiya ham se

maut thi behtar us jine se

maut magar na aai------

-

raushan the har gam pe raste

koocha o bazar saje tha

rah gayi aik tamasha ban ke

qadam qadam ma jayi-----------

haye mera bimar bhateeja

pal pal khoon ke ansu roya

kya karti majboor thi bhaiya

kuch na jahan kar payi------------

--

gam se fata jata hai kaleja

jago baradar ut,tho bhaiya

le lo us lachar ka pursa

shaam jise chod aayi-------------


teri yaad me us dukhiya ke

aansu aik na pal thamte the

kis ko pata tha is surat se

usko milegi rehai------------

--

teri yaad jab aati thi wo

roti thi chillati thi wo

roz tamache khati thi wo

bhai teri shaidai-----------




dard ka paikar gam ki zuban hun

ik taswire aaho fuga hun

pust pe mai durron ke nishan hun

aaj dikhane aayi------------