๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ kaha sugra ne rokar bahut din ho gaye hain ๐️
tumhe dekhe baradar bahut din ho gaye hain
sans rukne lagi hai har ghadi bebasi hai
ab to aa jao bhaiya waqt ye aakhri hai
kiye wada ai Akbar bahut din ho gaye hain
tumhare sath har su udasi cha gayi hai
kamar kham ho gayi hai zayifi aa gayi hai
chale ao palatkar bahut din ho gaye
azan sunti hun mai jab larazta hai badan sab
gaye kya aap bhaiya hai soona sara yasrab
hai har su gam ka manzar baut din ho gaye hai
tere sehre ki ladiyan hasraton se sajakar
aik beja hai jhoola maine qasid ko dekar
hai kaisa mera asgar bahut din ho gaye hain
na mujhko lene aaye na bheja khat kisi ne
mujhe gairo ki tarah bhulaya hai sabhi ne
kahu kis se mai jakar bahut din ho gaye hain
teri shadi ke arman bahut dil me sajaye
teri furqat me maine kitne aansu bahaye
hui aankhen samandar bahut din ho gaye hain
chacha Abbas qasim hain kaise mere baba
fufi zainab sakina kaise rahti hai amma
sabhi ko chhode ye ghar bahut din ho gaye hain
laga Akbar ke neza hua zakhmi kaleja
kaha baba dikha do mujhe sugra ka chehra
wo kahti hai tadapkar bahut din ho gaye hain
uthai shah ne ungli nazar aaya madina
zami pe rakh ke muh ko tadapti hai hazina
ye nauha hai labo par bahut din ho gaye hain
dame akhir tha urfi yahi Akbar ka nauha
kash sugra se koi asad jakar ye kahta
tera ujde muqaddar bahut din ho gaye hain