๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ ghar walo ki furqat me sugra ka ye nauha hai ๐️
bimar hun tanha hun ye bhi koi jina hai
khat likhta nahi koi maloom nahi hota
kaise hai mere baba kya haal chacha ka hai
ghar walo ki furqat me sugra ka ye nauha hai
jab raaton ko uljhan me karwat mai badalti hun
mahsoos ye hota hai paglu me sakina hai
ghar walo ki furqat me sugra ka ye nauha hai
uth jaati hai ghabra ke yun meri nazar jaise
ab tak kisi hujre me beshir ka jhoola hai
ghar walo ki furqat me sugra ka ye nauha hai
har shaam tumhare hi jalwon ke ujale hai
yaad aate ho tum bhaiya jab chand nikalta hai
ghar walo ki furqat me sugra ka ye nauha hai
baba jo sidhare to rukhsat hui sab raunak
sunsan hai ghar mera viraan madina hai
ghar walo ki furqat me sugra ka ye nauha hai
ye chaand pe zahir sooraj se hai sab raushan
shab kaise guzarti hai din kaise guzarta hai
ghar walo ki furqat me sugra ka ye nauha hai
hain aap agar Sabir mai aapki beti hun
har haal me ai baba bas shukr khuda ka hai
ghar walo ki furqat me sugra ka ye nauha hai
kuch roz ki duniya me kuch der ki mehma hun
yu lagta hai har lamha bas aakhri lamha hai
ghar walo ki furqat me sugra ka ye nauha hai
sugra se nidamat hai taqdeer se shikwa hai
ghar walo ki furqat me sugra ka ye nauha hai