๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ aaja aaja ali asgar aaja๐️
bin tere na jee payegi dukhiyari madar
kaise jiyungi lal bata de mai bin tere
jeeti rahi hun aaj tak mai tere aasre
mai hun yahan pe qaid wahan tu hai khak par
tanha hai chadary chini hain jal chuke khyam
ham ko firaya jayega bazaro koofa shaam
jane kahan tamam ho beta mera safar
Akbar nahi hai qasime muztar nahi rahe
jis par yakin tha saniye haider nahi rahe
baba tumhare aaye na maidan se laut kar
tanha hai teri ma mere masoom aa bhi ja
zakhmo se choor hai mere mazloom aa bhi ja
bazare koofa shaam hai aur mai hun nangy sar
kisko sunau loriyan kisko karun mai pyar
qismat me meri likhkha hai bas tera intezar
zulmo sitam hai aur hai tanhai hamsafar
noke sina se shaam ka bazar dekh le
jo ho rahy hai kunbe pe aazar dekh le
aabid bhi chal rahy hai kamar apni tham kar
maktal to sara dhoondh chuki hun mere pisar
ham qaid ho chuky hai aur jari hai ab safar
mahsoos ho raha hai ki dhodhungi umr bhar
bekas garib lagaro majboor ma hasan
kaise nadeem shaam me jati wo khasta tan
thak har ke wo baith gayi kah ke khak par