๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ chaly jo ran ko to Abbas ne kaha dilbar ๐️
tamam kunbe ko ab tum pe chhoda ai Akbar
kiya tha ma se jo wada use wafa karne
gulam jata hai aaqa pe jan fida karne
hamari maut ka hai dekhna tumhe manzar
zayeef bhai ne lashy uthaye hai din bhar
na dena bhai ko zahmat hamare lashy par
hamare marne se tutegi shahedi ki kamar
janabe zainabo kulsoom ki rida hona
zayeef baap ki peeri ka tum asa hona
khyal sibte payanber rahy ali Akbar
ai laal apne chacha par karam ye farmana
meri khabar na sakina ko meri pahunchana
na ji sakegi mere baad shah ki dukhtar
kaha hussain ke qadmo me tumko rahna hai
tumhe bhi jaam shahadat ka laal pina hai
tumhe bhi khoon me dekhenge tarbatar sarwer
tumhari lash pe aayega jab gareeb pidar
gamon se choor bahut hoga tab dile sarwer
chupana baap se ai laal apna zakhme jigar
sawal uthta hai rah rah ke zahan me aksar
dilasa kaise de maula ko amjado paiker
guroob ho gaye maula ke saare shamso qamer