๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ sayyade sajjad hain do marhalon ke darmiyan ๐️
ik taraf nezon pe sar hai ik taraf saidaniyan
marta hai koi kode koi pat,that bar bar
khoon ke aanu rulate hai musalsal nabukar
khoon me dooba hua hai haye jisme natawan
malikaye sharmo haya bazar me hai nange sar
apni marzi se agar jaye bhi to jaye kidhar
saans lene par lagi hai zulm ki pabandiya
kis taraf dekhe na dekhe kis qadar be chain hai
zulm ki zad me shahide haq ka noore ain hai
hathkadi hanthon me hai aur panv me hai bediya
koi bhi karta nahi Imdad deta hai sada
karbala ka kar ke rukh sajjad deta hai sada
sun ke ro deti hain nako par khule sar bibiyan
dekhta hai pahle hasrat se sakina ki taraf
baad uske fir sare shahe madina ki taraf
roke fir kahta hai baba mar na jaye neem jan
is se badh kar kya sitam hoga bhala mazloom par
fenkte hai guthliya kuch ahle shar kulsoom par
aur dohrate hai kuch karbobala ki dastan