header 2

Wednesday, June 18, 2025

ho gayi aah be pidar zainab

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ ho gayi aah be pidar zainab ๐Ÿ•Š️

kam hai ab roye jis qadar zainab



aaj hai farshe gam me ahle aza

baap ke gam me nauhagar zainab


rok le apne ansuo ko zara

ab to rona hai umr bhar zainab


dekhna aik din dikhayegi

shaam tujhko yahi sahar zainab


ibteda hai abhi to kufe me

tumko hona hai dar badar zainab


majmaye aam hoga galiyo me

aur hogi barhna sar zainab


hil raha hai mazar roti hai

ma ki turbat pe nauhagar zainab


tere nalon se ho raha hai bapa

aik kohram arsh par zainab


sayyada aa gayi hain jannat se

sara matam qada hai ghar zainab


karte hai jis tarah yateem basar

ab karo umr yun basar zainab



raunaqe uth rahi hain duniya se

ja raha hai tera pidar zainab