🤲 ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
हिन्दी में पढ़ने के लिए 👉यहां क्लिक करें
🕊️ begoro bekafan raha laasha hussain ka 🕊️
dafnata kon qaid tha kunba hussain ka
gardan me tauq haath me hathkadiya pad gai
majboor hoke rah gaya beta hussain ka
ik ladli ki neend me doobi hui nigah
ta umr dhondhti rahi seena hussain ka
usko khabar nahi thi ke neze pe sar chadha
sheeri ko intezar tha aaqa hussain ka
umme rabab baithi na saye me umr bhar
dekha jo dhoop me tha janaza hussain ka
zainab ne baddua ka irada badal diya
Rone laga jo sar sare neza hussain ka
kam aayi yun jale huy dawan ki roshni
beti ne dhondh hi liya laasha hussain ka
sar kata zalimo ne lahad se nikal kar
kitne sitam utha gaya bach,cha hussain ka
qabre nabi pe roke ye zainab ne di sada
nana mai le ke aayi hu kurta hussain ka
Abbas namdar ke rauze pe jaunga
fakri wahan sunaunga hussain ka