๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ bahut royi zainab watan yad aaya ๐️
nabi ka ujadta chaman yad aaya
jab ujadi hui god bano ki dekhi
to asgar sa guncha dahan yad aaya
khule sar chali suye zindan jo zainab
to ik lashaye be kafan yad aaya
sakina ne paya jo pani ka sagar
to masoom tashna dahn yad aaya
ujadte huye koi gulshan jo dekha
to aale nabi ka chaman yad aaya
nishan tauq ke halq e aabid pe dekhe
to zainab ko dage rasan yad aaya
nabi ki nawasi ko zindane gam me
bahut zulm charkhe kuhan yad aaya
uthai gai jab jawani ki mayyat
to bhai ko azme bahan yad aaya
hua aik zindan me kohram barpa
jab ahle haram ko watan yad aaya
rihai mili qaidkhane se jis dam
to zainab ko ibne hasan yad aaya
sada jab sadaye azan goonj ut,thi
to Akbar sa shere shukhan yad aaya