हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
mahalan mahla yabnazzahara
ummul masayab zainab bin gufte
shahre atash me gul hai bapa
khaima dar khaima hai shoro shain
ran ko chale hain hay hay hussain
lutne ko hai ab zahara ka chain
kyu kar kare na zainab ye bain
shahre atash me gul hai bapa
shahe umam ne hairat se manga
fizza le aayi jyuhi wo kurta
binte nabi ne jisko diya tha
manzar ye zainab ko khoon rulaya
shahre atash me gul hai bapa
aabid ko zainanb ne deke sahara
gash se uthaya to hairat me paya
beta pidar ko na pahchan paya
ik qadar khoon me tar the uff maula
shahre atash me gul hai bapa
ut,tha jo bar bar khaime ka parda
pase khaima aik mahshar tha barpa
bhaiya se bichdegi apne jo banna
dekhegi kaise ye fatema zahara
shahre atash me gul hai bapa
duldul se boli Bali sakina
shah ki sawari sun le ye naala
baba ko mere ran me na leja
wasta deti hun tujhko khuda ka
shahre atash me gul hai bapa
baba ka wada jab yaad aaya
bazuye zainab ko maula ne chooma
gardane sarwar ka leke bosa
zainab ne wadaye madar nibhaya
shahre atash me gul hai bapa
jis dam banakar khaime me halqa
ahle haram ne kiya ye nauha
taba falak tak iska tha charcha
bahno ne shah ko rukhsat kiya tha
shahre atash me gul hai bapa
tanha khade the ran me jo maula
shah ki musibat pe duldul bhi roya
zainab ke lab pe ubhra ye nauha
aao sawar karun tumko ai bhaiya
shahre atash me gul hai bapa
kahti thi rokar zainabe muztar
bichade jo ham se nana ke dilbar
aakar milenge wo roze mahashar
ashqo aza bhi kahte hai rokae
shahre atash me gul hai bapa