Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Wednesday, July 15, 2026

Sakina ki aati rahi ye sada,

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ Sakina ki aati rahi ye sada ๐Ÿ•Š️

Kahan ho ai Baba, kahan ho ai Baba.



Satate hain humko ye ahl-e-jafa,

Kahan ho ai Baba, kahan ho ai Baba.


Tumhein de rahi hoon main kab se sadaayen,

Layeen chhinte hain hamari ridayen

Ab to hui zulm ki intiha.


Na Asghar, na Qasim, na Akbar bacha hai,

Nahin aaya dariya se mera chacha hai.

Koi bhi na baqi hai ab to raha.


Sitamgar lagate hain mujhko tamaache,

Koi bhi nahin humko de jo dilase.

Ye Nana ki ummat ka kaisa sila.


Ghamon ki ghata hai, andhera ghana hai,

Luti hain ridayen bhi, khaima jala hai.

Hai beemar bhai ka bistar jala.


Sitam ki rasan hai, hamara gala hai,

Kahun kya ai Baba, jo maine saha hai.

Har ik saans lagti hai hum par saza.




Jo seene pe Baba ke soti thi, Akhtar,
Wo zindan mein Baba ko roti thi aksar.
Yahi lab pe rehta tha uske gila.