๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ Karbala aake musibat me padi hai Zainab ๐️
Sar barehna hai rasan basta khadi hai Zainab
Kabhi khaima kabhi maqtal kabhi dariya ke taraf
Baal bikhraye kise dhoondh rahi hai Zainab
Kisko aawaz de Akbar hai na Abbas-e-Jari
Darmiyaan laash ke maqtal me khadi hai Zainab
Jalte khaime se bhatije ko bacha laayi hai
Kyunki aaghosh-e-taharat ki pali hai Zainab
Apni majboori pe ghut ghut ke bahut roti thi
Be-kafan laash-e-Shabbir padi hai Zainab
Laash par bhai ki ye kahke giraya khud ko
Kya karun bhai yahi soch rahi hai Zainab
Sar khula jiska na suraj ne bhi dekha ho kabhi
Chehra baalon se chhupaye wo khadi hai Zainab
Apne baba ke zamane me jo thi shahzadi
Haye taqdeer wahi qaidi bani hai Zainab
Bachche nako se jo girte the tadap jaate the
Unki aawaz pe sar peet rahi hai Zainab
Kyunki beemar bhatije ki phuphi hai Zainab