Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Tuesday, July 15, 2025

Zinda rahe Hussain

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ Zinda rahe Hussain a.s Tera Gham manayenge  ๐Ÿ•Š️

Ay Fatima s.a ke Laal ye waada nibhayenge




Ghar me hamarey aayengi Majlis me Fatima s.a
Farshe Aza ke saath ye dil bhi bichayenge

Jhooley Amaariyan ye Shabihein ye Taziye 
Tehzeebe Gham se Dard ke Manzar Sajayenge

Ye Unka hai Juloos jo pyasey huye Shaheed 
ham iske raste me sabilein lagayenge

kehte hain chhote chhote se bachhe ye baap se
ek roz baba jaan ye Alam ham uthayenge

kuch der Zuljanah mere Ghar pe rok do Pyasey ki is Sawari ko pani pilayenge

Bachpan se hai dua ke banayenge Ghar jahaan 
Ashoor Khaana Ghar me wahan ham sajayenge

Ghar Me Agar Ho Nazre Sakina s.a To Hai Yaqeen 
Us Nazr Me Sakina s.a Ke Ammu a.s Bhi Aayenge

kis Shaan ke mile hain namaazi Hussain a.s ko 
Teeron ke saamne ye musalley bichayenge

Raahe Hussainiyat ke Shaheedon Salam lo 
Tum ko na apne Dil se kabhi ham Bhulayenge

Jo Aasuno'n ko kartey rahey nazr-e-Fatima s.a 
Roomal-e-Fatima s.a ka tabbruk wo paenge

Baad e Zahoor hoga Muharram ka ye Hasham 
Ham Karbala Imam a.s ke Hamraah Jayenge



Nouha bhi hai Safeer-e-aza Sarwar o Hilal 
jis Des me bhi Jaiyenge nauha sunayenge