Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Sunday, July 20, 2025

shahe di pukare ye khaime ke dar par

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ shahe deen pukare ye khaime ke dar par ๐Ÿ•Š️

bade sang dil hain ye zalim sitamgar
sunaun mai tujhko kya roodade asgar
kahan chhod aaya hu mai tera dilbar
tery laal ko ran me aaya hu khokar


ai bano ai bano ai bano ai bano


tery laal ki muskurahat thi khanjar
giri barq bankar hazaron dilo par
chalaye kuch aise kalejon pe nashtar
huye sharm se pani pani sitamgar
tery laal ko ran me aaya hu khokar
ai bano ai bano ai bano ai bano


tery laal ne shan e Haidar dikha di
tery laal ne deen ki azmat badha di
tery laal ne kufro zulmat mita di
bhanvar me thi ummat ki kashti bacha di
tery laal ko ran me aaya hu khokar
ai bano ai bano ai bano ai bano


tera laal ummat pe sadqe hua hai
tumhe kya bataun ke kya kar gaya hai
padar ki zyeefi ki dharas bana hai
pada teer gardan pe to hans diya hai
tery laal ko ran me aaya hu khokar
ai bano ai bano ai bano ai bano



gaye hashimi ghar me jab shahe wala
ajab haal bano e muztar ka dekha
nazar aaya veeran jo asgar ka jhoola
kiya zabt lekin yahi muh se nikla
tery laal ko ran me aaya hu khokar
ai bano ai bano ai bano ai bano