๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ shabihe payambar akbar nauha kare ma ๐️
shah ka dilbar akbar nauha kare ma
arman bahut tha mai teri shadi rachau
ik roz dulhan chand si mai byah ke laun
par laash pe roti hai teri kokh jali ma
shabihe payambar akbar nauha kare ma
shah ka dilbar akbar nauha kare ma
zinda the tumhe dekh ke ab kaise jiyege
socha tha tere byah ki poshak siyenge
par tujhko kafan bhi na mila haye meri jaan
shabihe payambar akbar nauha kare ma
shah ka dilbar akbar nauha kare ma
roti hai fufi jisne tujhe laad se paala
tum kya gaye rukhsat hua is ghar se ujala
ik baap zayeefi me hua be saro sama
shabihe payambar akbar nauha kare ma
shah ka dilbar akbar nauha kare ma
mar jaye jawan laal agar door watan se
mahroom ho gurbat ke sabab goro kafan se
tadpata hai is waqt me kya tang e daaman
shabihe payambar Akbar nauha kare ma
shah ka dilbar akbar nauha kare ma
Abbas ka sadma bhi abhi kam na hua tha
aise me meri jaan tera waqte ajal aaya
tum mar gaye kyu mar na gayi laal teri ma
shabihe payambar akbar nauha kare ma
shah ka dilbar akbar nauha kare ma
bimar bahan takti hai beta tera rasta
pardes me aaye to raha yaad na wada
maktal kiya aabad madina kiya viraan
shabihe payambar akbar nauha kare ma
shah ka dilbar akbar nauha kare ma
firta hai meri aankh me ab tak wahi manzar
ai jaane pidar noore nazar ai ali Akbar
hamshakle nabi kahte the tumko shahe zeeshan
shabihe payambar akbar nauha kare ma
shah ka dilbar akbar nauha kare ma
Allah nigehbaan tumhara mere pyare
ham log rasan basta suye shaam sidhare
sota hai tere saath yahi asgare naadan
shabihe payambar akbar nauha kare ma
shah ka dilbar akbar nauha kare ma
pyase tha bahut pyas ye kis tarha bujhayi
kya chand se seene pe sina zulm ki khayi
tum sote ho ma jaati hai beta suye zinda
shabihe payambar akbar nauha kare ma
shah ka dilbar akbar nauha kare ma
zahra ne tujhe bakhsha hai lafzo ka khazana
le ho gaya bakhshish ka teri hashr me saaman
shabihe payambar akbar nauha kare ma
shah ka dilbar akbar nauha kare ma