๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ sakhi Abbas jari ya ilahi mujhe de ๐️
aik jari chahiye tareekhe shujat ke liye
Karbala me mere shabbir ki nusrat ke liye
aur namoose payambar ki hifazat ke liye
ya ilahi mujhe abbas sa beta de de
jab mere ghar me alam hai to alamdar bhi ho
shukr sad shukr tera shabbaro shabbir diye
beriyan ki hai ata zainabo kulsoom mujhe
baad iske meri bas aik dua ke badle
ya ilahi mujhe abbas sa beta de de
jab mere ghar me alam hai to alamdar bhi ho
aaina sabro shuja,at ka banana mera
hubahu meri hi tasweer ho bachcha mera
usko dekhun to nazar aaye sarapa mera
ya ilahi mujhe abbas sa beta de de
jab mere ghar me alam hai to alamdar bhi ho
koi beyaro madadgar agar ho jaye
ilteja bahare madad apni zaban par laaye
mujhko aawaz koi de wo madad ko aaye
ya ilahi mujhe abbas sa beta de de
jab mere ghar me alam hai to alamdar bhi ho
zindagi kiski guzar jaye alamdari me
apne baazu bhi kata de jo fidakari me
sabse aage nazar aaye jo wafadari me
ya ilahi mujhe abbas sa beta de de
jab mere ghar me alam hai to alamdar bhi ho
naam uska ho jin hothon pe wahan pyas na ho
koi ummid na toote koi be aas na ho
yaad karke use tanhai ka ehsas na ho
ya ilahi mujhe abbas sa beta de de
jab mere ghar me alam hai to alamdar bhi ho
mere malik mere hothon pe jab aayi ye dua
meri aankhon me nazar aane lagi karbobala
mera shabbir musibat me khada hai tanha
ya ilahi mujhe abbas sa beta de de
jab mere ghar me alam hai to alamdar bhi ho
jab wo karbal me ho chobees pahar ka pyasa
har qadam par use isaar ka jazba dena
aur mere laal ke haantho ko salamat rakhna
ya ilahi mujhe abbas sa beta de de
jab mere ghar me alam hai to alamdar bhi ho
use "meesam" kaha hai fatema zahra ne pisar
aarzu ki thi ali ne jo huzoore dawar
ya ilahi mujhe abbas sa beta de de
jab mere ghar me alam hai to alamdar bhi ho