๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ na alam na chacha na shahe karbala sham ho gai๐️
jo bhi ghar se gaya wo na fir aa saka sham ho gai
rah takti rahi shiddate pyas me
dhal gaya din isi aas hi aas me
koi aaya nahi jane kya ho gaya
paani lene gaye der kitni hui
din dhala ai chacha shame gam aa gai
khushk hai ai chacha mera ab tak gala
kisko aawaz du khu ke maidan me
kon hai jo sune is biyaban me
de rahi hu tumhe jaane kab se sada
laut aao ki pani nahi chahiye
khao mujh par taras ab khuda ke liye
mashq khali liye aao ab to chacha
jake baba bhi maidan se aaye nahi
ab to jhoole me asgar bhi haye nahi
khaima jalta hai yu jaise koi diya
ro rahi hai fufi chhin rahi hai rida
marte hain tamache mujhe ashqiya
khaima jalta hai yu jaise koi diya
bazuon me rasan bandhne aa gaye
khainche kaise gaye dur mere kano se
ho gaya khu se tar sara kurta mera
lo chacha suye zina chali gamzada
alwida alwida ai qafeele jafa
lijiye aapse ho rahi hu juda