Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Tuesday, July 1, 2025

meri sakina ko neend aa rahi hai

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ bano ye aabid ko batla rahi hai ๐Ÿ•Š️

meri sakina ko neend aa rahi hai



kah do hawaon se aahista aayen

kah do parindo se gul na machayen

kah do andhero se wapas na jaayen

jagi hui chain kuch pa rahi hai


shayad rasan ki aziyat hui kam

maddhyam karo bibiyo shore matam

sajjad zanjeer bole na is dam

shayad gam ki ghadi ja rahi hai


zindan ka dar zor se ab na kholo

ai pahredaron ab aahista bolo

tum bhi to jage ho kuch der so lo

baba ki khushbu ise aa rahi hai


ki ab dhadkane dil bhi iska gira hai

na bhai bhi nazdeek na iski ma hai

kano se khun go ki ab bhi rawan hai

magar aankh bojhal ye batla rahi hai


ye shame gariba ki jagi huyi hai

tamacho ke dar se nahi wo saki hai

zara ab gale se rasan jo khuli hai

sunku se jo ab sans le pa rahi hai


mai khush hun ke soyegi meri dulari

mai qurban iske mai an iske wari

bahut sah chuki dukh ye gazi ki pyari

magar nabz kuchh aur batla rahi hai


magar ye hua kya ki zindan roya

badan rooh ke sath bachchi ka soya

na jagi wo aabid ne Shana hilaya

aur ab ma ye kahke bhi sharma rahi hai



kaha tak likhunga mai rehan nauha
kabhi sham jaun to dekhu wo rauza
jahan qaidi bachchi ka marqad hai tanha
jahan ma abhi bhi kahe ja rahi hai